Amitabh Bachchan
Amitabh was start his filmy career from 1969 and make a lot of famous film in which Shole is released on 15 August 1975 was Shole (meaning flames), which became the highest grossing film of 1975 and also of all time in India. During 1976 to 1984 he received many film fare award and national award. 1984 he left the film line and joined politic but very soon he return in film line. In 1988, Bachchan returned to films, playing the title role in Shahenshah which was a box office success. After return from politic his films ware not success in box office. He again left the film line for 5 years. Amitabh Bachchan born in 11 October 1942, Allahabad, Uttar Pradesh, His father Harisvansh Rai Bachchan was Hindi poet and mother Teji Bachchan Sikh belonged to Faisalabad which is now in Pakistan. His father was died in 2007 and mother in 2003. Amitabh Bachchan was marriage with Jaya Bharduri and they have two children Abhishek Bachchan and Shweta Nanda. Abhishek is also an actor and marriage with an actress Aishwarya Rai.
In 2000, Amitabh Bachchan appeared in Yash Chopra’s box office hit, Mohabbatein, directed by Aditya Chopra which was hit film. In 2001 Kabhi Khushi Kabhiee Gham, he appears as an older family patriarch in (2001) Ek Rishtaa: The Bond of Love, (2001) Kabhi Khushi Kabhie Gham and (2003)Baghban. He performances As an actor in Aks (2001), Aankhen (2002), Khakee (2004) and Dev (2004) and won national film award for best actor and film fare best actor award. On 27 July 2012, Bachchan carried the Olympic torch during the last leg of its relay in London's Southwark. |
Amitabh Bachchan Biography in Urdu:Amitabh Bachchan 11 October 1942, Allahabad, Uttar Pradesh, North Central India mein paida huye. Unke father Harivansh Rai Bachchan aik Hindi poet aur mother Teji Bachchan Sikh Faislabad ki thi (jo ab Pakistan ka hissah hai). Amithabh Bachan ka ibtadayi tor par Inquilaab naamzad ki gia tha. In ka mukhtasar naam Shrivastav tha. Inka asal naam Amitabh Shirivastav hai. Wo do bhai hain jin mein wo Bare hain. Amithabh Bachchan ke walid ko Stage se buhat lagao tha filmon mein adakari ke liye unhein peshkash bhi huyi lekin gharilu zummah dari ko adakari par foqyat di. Amitabh Bachchan ki mother ne unehein buhat sath dia. Amitabh Bachchan ke father 2007 aur mother ka 2003 mein inteqaal ho gia.Amitabh Bachan double M.A hain. Inhon ne Allahabad mein boys high school se ibtedayi taleem hasil ki. Inhon ne 20 saal ki umer mein Kolkata ki comity ki nokri chor di takeh acting ke safar ko aage barha sakein. Inhein ibtedayi maqbulyat 1970 mein mili aur aaj in ka shumar Indian film industry ki tareekh mein maroof tareen peshon mein hota hai. Apne adakari ke safar ke doran inhon ne kayi bare bare award hasil kiye jin mein teen National film award aur 12 film fare award shamil hain. Inhon ne Indian Gevernment ki taraf se donon Padma Shiri aur Padma Bhushan civilian award hasil ki hai. Adakari ke elawa Bachchan ne aik Play back singer, film producer aur television presenter ke tor par kaam kia hai. Amitabh Bachchan ne Jaya Bharduri se shadi ki. Unke do bachche Abhishek Bachchan aur Shweta Nanda hain. Abhishek aik actor hain aur unhon ne Aishwarya Rai (Indian film actress) se shadi ki hai. Amithabh ki adakari ka safar 1969 mein film Saat Hindustani hua. 1971 mein Ananad aaye jo karobari lehaz se kaamyab rahi. 1971 mein lagne wali film Reshma Aur Shera bhi shamil hai. 1973 mein Bachchan taraqqi ki nayi rahon par gamzan ho gaye. Hidayatkar Prakash Mehra ki film "Zanjeer" mein inspector Vije Khanna ke kirdar mein pesh kia. Is film mein national award mila. 1974 mein Bachan ne "Kunwara Baap" aur "Dost" mein mehman adakari ke tor par kaam kia. 1975 mein inhon ne mukhtalif mozu ki filmon mein kaam kia jin mein chupke chupke, Shole, Jurm ki dastan tera shamil hain. 1999 mein BBC India ne film shole ko Sadi ki behtareen film qarar dia. Shole ki kaamyabi ke baad Bachchan ko Bollywood ki bulandi ko chune lage aur 1976 se 1984 ke doran inhein kayi film fare award aur national award dia gia. 1984 mein film line ko kher baad karne ke baad Amitabh Bachchan ne politice mein qadam rakha aur apne khandani dost Rajiv Gandhi ki himayat ki. Unhon ne 1984 - 1987 tak politice mein kaam kia. In ka siasi safar buhat kam arsah par moheet tha aur 3 saal ke baad hi inhon ne politic ko bhi kher baad kar dia. Adakari mein 1988 mein amitabh ne film "Shehansha" se dobara adakari mein qadam rakha. Lekin yeh film Box offic mein nakam rahi. 1991 mein "Hum" film bhi nakam rahi. 1992 mein "Khuda Gawah" ke baad Amitabh Bachchan ne 5 saal ke liye adakari se subokdoshi ikhtiyar kar li aur 1994 mein in ki takheir se lagne wali film Insanyat bhi aik nakami sabit huyi. 1996- 1999 tak film line ko khir baad kehne ke baad Amitabh Bachchan ne peshkari ko apnaya. 1997 mei aik baar phir Bachchan ne adakari mein wapis aane ki koshish ki. 1988 mein Bare miyan chote miyan buhat saraha gia aur 1999 mein film (Sooryavansham) mein bhi in ki kafi hoslah afzayi huyi. Isi saal (Laal Baadshah) aur (Hindustan Ki Kasam) nakam rahi. 2000 mein (Mohabbatein) film kaamyab huyi. Is film ki kamyabi ke baad mazeed filmein bhi manzar e aam par ayein. Kabhi Khushi Kabhi Gham, aks (2001), Annkhen, Baghban (2003), Dev (2004) shamil hain. 2005-2006 mein unhon ne apne bete ke sath Bunty aur Babli(2005), kehna (2006) film ki. 2007 kuch acha kardardagi na kar sakein. Saal 2000 mein Bachchan ne bartanya television who wants to be a millionire ke hindi mein bannay wali program kon bane ga karor pati ki mezbani ke faraiz anjam diye. Doosre mulkon ki tarah india mein bhi is ko buhat saraha gia aur 2005 November tak Bachchan ne is program ki mezbani ki aur is ki wajah se in ko apni khoyi huyi shohrat wapis mili. |
Amitabh Bachchan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment