Urdu Poetry




Urdu Shairi becomes very famous in Pakisan. It is always a pleasure to hear from fellow Urdu poetry lovers. Urdu poetry has many different types and forms. Urdu shairi includes Ghazals, Poems, Urdu Poetry. Pakistani poets becomes popular because of their romantic poetry specially Ghalib, Ahmed faraz, Habib Jalib, Sagar Siddiqui, Muneer Niazi, Mohsin Naqvi, Farhat Abbas Shah. You can read the poetry of many famous Urdu poets and funny Urdu poetry of famous poets
Urdu Poetry - Urdu Shairi - Funny Urdu Poetry - Romantic Urdu poetry- Urdu sad poetry- Urdu Sms Poetry Urdu Poem - Urdu Ghazals - Ghazal -Nazam- Urdu Shairy - Poetry In Urdu - Pakistani Urdu poetry...

Aamir Bin Ali Poetry

Mujhay jinay kay mainay day gia woh
Ajab apni nishani day gia woh

Meri sonchon kay thehray paniyon ko
Naye dhab ki rawani day gia woh

Jharay yadon kay sukhay Janglon ko
Ghata ban kar jawani day gia woh


Sonchta rehta hon mein aksar
Jab bhi akela hota hon

Yeh phool aakhir kiun mur jhatay hain
Kuch namon ka sunkar aakhir

Hansti basti aakhon mein
Aanso kiun kar aajatay hain?


Tujhay Tujh say Churana Chahta Hon

Tujhay tujh say churana chahta hon
Janon ko aazmana chahta hon

Hamaray darmiyan jo mojzan tha
Wahi rishta purana chahta hon

Makan badlay hai kitnay is nagar mein
Mein ab kay ghar basana chahta hon

Samay ki aandhiyon say bujh na paye
Dia aisa jalana chahta hon

Yeh dunya to bhat choti hai jana'n
Teray dil mein samana chahta hon

Tumhara sath ho aur geet likhon
Mein jiwan shairana chahta hon


Urdu Sad Shairy

Pahly hi chahiye tha kari dhup ka khiyal
Ab wo shajar kahan jo Musafir nawaz the

Rooswaiyon ka aap ko aaya hai ab Khiyal
Hum ne to apne dost bhi Dushman bana liye

Dushwar kis qadar hain, Quhabbat k marhaly
Dushman bhi sath sath hain Ahbab ki tarah

Dosto se is qadar Sadme uthaye jan per
Dil se Dushman ki shikayat ka gilah jata raha

Apni to wo missal hai, jaise koi darakht
Aoron ko chayon bakhsh ker khud Dhoop main jale

Ay zindagi ki dhoop bata k kia jawab doon
Diwar pochti hai k Saya kidhar gia


Zindagi main is qadar Apnon se khaye hain fareb
Aik se lagte hain ab to Dost aur Dushman mujhe


Etni shiddat se mujhe us Shakhsh ne manga nadeem
Dooshmani k bawajood inkar ki Soorat na thi

Dushmani to khair har surat main hoti hai Gunah
Aik mutaiyan had se aage Dosti bhi jurm hai

No comments:

Post a Comment

Blog Archive