Rekha
Rekha was born in Chennai. Her father is Tamil actor Gemini Ganesan and mother Telugu actress Pushpavalli. Her parents were not married, and her father did not acknowledge his paternity during her childhood. In 1990, Rekha married Delhi-based industrialist Mukesh Aggarwal. A year later—while she was in the US—he committed suicide, after several previous attempts, leaving a note, "Don't blame anyone". Rekha currently lives in her Bandra home in Mumbai.
Rekha in Urdu:Rekha mabhut kardene walay husn aur qaatil adaaon kay sath bollywood ki chaka chond mein apna rastah banati chali gayin. Woh sab say agay nikal gayin. Inka jadoo sar char kar bola lekin film nagar ki kiis kaamyab tareen sanoli saloni adakar ki haqiqi zindagi buhat tulk aur pur asrar rahi. Aaj bhi woh kayi raz aur toofan apnay sinay mein chupaye huye hain.
Ba tor child actress Rekha elaqayi filmon mein nazar aayin , jahan who camera aur bhari laits ki aadi bani aur phir qasmat nay inhain bollywood kay darwazay par la kar chor dia. Yahan 1969 mein bator adarah Rekha nay pehli Hindi film “Do Shikari” say career ka aaghaz kia, lekin is film ki release mein takhair ho gayi. Isi doran is khoob surat larki ko “Sawan Bhado” mein aik kirdar offer hua jo 1970 mein release huyi. Is tarah Rekha ki pehli Hindi film Sawan Bhado mani jati hai, is film mein Rekha kay hero Naween Nashchal the. Yeh film zabardast rhi aur Rekha nay raton raat shohrat ka safar tai kar lia.Cenema kay nagar mein fun karon ka affair aam baat hai. Baaz martaba aik hi adakarah ka naam kayi fun karon kay sath jor dia jata hai. Yahi kuch Rekha kay sath bhi hua lekin inhain affair ki afwahon say mazeed shohrat mili, Rekha ka naam Amitabh Bachan kay sath lia janay laga aur in fun karon kay baray mein shaya honay wali khabron nay har jagah in ka naam puncha dia. Isay raaton raat star bannay wali Rekha ki khush qismati hi tasawar ki ajye ga keh in ka naam apnay waqt kay aik manay huye actor kay sath jor a gia, aur goya isi baat nay industry mein Rekha kay safar ko char chand laga di. Is affair ki haqiqat kia thi aur is mein ketna afsanah tha,, is baray mein apnay waqt ki super star Rekha nay kabhi baat nahi ki.
Is sahrah mein aaj bhi wahi dilkashi hai jo tees saal pehlay thi. Is ki muskurahat ka sehar ab bhi nahi toota hai. Bay shumar log Rekha ki aik jhalak dekhnay kay liye aaj bhi bay qarr hain. Shayad Rekha nay khood ko is liye etna sanbhal rakha hai keh koi inhain ghatti huyi umer ka ahsaas dila kar razon say pardah uthanay par majboor na karday.
Big Bi yani filmi dunya kay shansha Amitabh Bachan aur Rekha kay affair ka us waqt khoob charcha tha, yeh donon fun kar motaddid filmon mein sath nazar aaye aur is kay natijay mein bannay wali batain Rekha ki shohrat ka bais ban gia, jab keh 1981 mein film “Omrao Jaan” mein tawaif ka kirdar is adakarah ki maqboolyat ko goya satwein aasman tak lay gia.
Omrao Jaan kay liye Rekha nay khas tor par Hindi Zuban sikhi aur la jawab adakari ki. Is kay baad to Rekha ki shohrat aur maqboolyat ka na thamnay wala silsilah shuru ho gia.
Parda par Rekha nay Gora Kala , Namak Haram, Silsilah, Moqadar ka Sikandar, Zubaidah, Phool Banay Angaray , Dharm Karam, Mr. Natto Laal kay elawah sainkro filmon mein shan dar aakari ki aur yeh super hit films sabit huyi.
Commercial films kay elawah Rekha Ijazat, Aanso, Jewan Dhar jaisi art filmon say apni mutasir kun adakari kay bais filmi naqdeen ki nazron mein samayain aur paristaron kay dilon mein moqaam banaya.
Rekha ki zindagi paidaish say lay kar shadi tak pur israryat liye huye hai. Rekha kay father Gemini Ganesan nay Rekha ki maan say shadi nahi ki thi. Yeh baat Rekha ki zindagi mein aik bheyanak haqeeqat kay tor par mojood hai.
Rekha ka naam kabhi amitabh Bachan kay sath jora gia to kabhi Vinood Mehra aur Rekha ki shadi ki khabrein suni gayin. Rakha nay Amitaabh Bachan kay sath affair ki tasdeeq ya tardeed ki koi zarurat mehsoos nahi ki lekin Veenod Mehra kay sath shadi ki afwah gardish mein aayi to kayi bars tak khamosh rehnay wali Rekha bol pari. Inhon nay apnay aik interview mein is ki tardeed ki aur dono ko apna khair khua aur dost bataya.
Bollywood ki hasinah wrstyle funkara aur sainkron filmon ki heroin Rekha kay baray mein 1990 mein film nagri aur paristaron tak aik khabar punchi keh inhon nay Dehli kay ameer industrialist Mukesh Aggarwal say shadi karli hai. Yeh khushi ki baat thi lekin kisi ko nahi maaloom tha keh khushi ki is ghari kay doosray siray par aik dil kharash sanha par dia gia hai. Rekha ki shadi ko saal bhi nahi hua tha keh donon mein ikhtalafaat paida ho gaye, aur aik roz Mukesh Aggarwal nay khood kashi karli. Is tarah Rekha aur Mukesh Aggarwal. kay darmian duri daimi ho gayi. Is par har taraf che magoiyan huyin lekin Rekha nay is silsilay mein koi baat nahi ki .
Mukesh Aggarwal say rakha ka kia ikhtelaaf tha , khood kashi ki kia wajah ho sakti hai, Amitabh Bachan kay sath affair ki khabron mein ketni haqiqat aur ketna afsanah tha, filmi dunya mein arooj kay zamanay mein kis nay is sahrah kay dil par qabiz honay ki koshish ki, aur khood Rekha nay kisay dil ki gehraiyon say chaha aur apni chahat ka izhar kia ya khamoshi say jalti rahi yeh sab aaj tak raaz hai.
No comments:
Post a Comment